Deliveroo mein hum apne customers, food partners aur aap, humare riders ke liye - dunya mein behtareen food delivery service dene ke mission per hain. Iss ka matlab hai ke hum hamesha deliveries ko aasani se paunchane ke tareeqe dhoondte rehte hain.
Ab se, jab aap customer ko uss ke darwaze per nahin mil payen ge, toh aap se safe jagah per order ki photo lene ko kaha jai ga. Rider app ke zariye yeh jaldi aur aasan hai, aur ye customer ko delivery ka proof dene mein humari madad karega.
Jub aap customer ke liye safe jagah per photo lete hain, toh customer ki privacy ko mehfooz rakhne ke liye ye zaruri hai ke aap photo mein kisi shakhs ko, ya shanakhti maloomat ko shamil na kren.
Jab delivery ke waqt aap customer tak nahi pahunch paa rahe hain to aap ko ye cheeze krni chaahiye:
- Agar delivery ke waqt customer darwaze pe nahi milta hai, toh aap ko rider app mein Chat/Call ke features ka istemal ker ke un se rabta karne ki koshish karni chahiye.
- Agar wo jawab nahi dete hain, toh aap un ko ye batane ke liye rider app mein notification bejhen ke aap jald wahan se ja rahe hain.
- Agar customer phir bhi jawab nahi deta hai, toh aap ko order ko kisi safe jagah per rakh dena chahiye, jaise unke darwaze ke bahir, ya building ki reception per ya phir neighbour ke pass.
- Rider app mein ‘Leave Order’ per tap kren, aur list mein se explain karne ke liye choose kren ke aap order kahan rakh rahe hain.
- Jahan aap customer ka order rakh rahe hain uss jagah ki photo lene ke liye apne mobile phone ka istemal kren. Aap ko rider app ko apne phone ke camera ki access deni hogi. Ye zaruri hai ke aap privacy ki wajah se photo mein logon ke chehre ya koi dusri shanakhti maloomat shamil na kren.
- Agar photo clear nahi hai toh aap usse dobara le sakte hain ya delivery mukamal karne ke liye Finish per tap ker sakte hain.