Deliveroo UAE Rider Support

Account Change topic

Customers ke personal data ko safe rakhna

Deliveroo ke customers apna personal data hamare sath share karte hain aur trust karte hain ke hum ussay safe rakhain. Humari customer ki privacy ko safe rakhne ki commitment aur zimmedari ka hissa hotay huay ye zaruri hai ke un ka personal data jiske liye wo humein trust karte hain uss ko safe rakha jaye aur munasib tareeqay se use kiya jaye. Aap is zimadari mein humare sath barabar ke shareek hain kyun ke ye aapki Deliveroo ke sath contract ke faraiz aur duties ka hissa hain.

Aap customer ka kaunsa personal data handle karte hain? 

Jab bhi aap order accept aur deliver karte hain toh customer ka personal data handle karte hain jis mein customer ka naam, order ID aur location shamil hai laikin ye yahan tak limited nahi hai.

Aap ko personal data ko safely kaise handle karna chahiye?

Customer Deliveroo aur aap par apni information safe rakhne ke liye trust karte hain, iss liye ye janana zaruri hai ke issay zimmedari ke sath kaise handle kiya jaye. Jab bhi aap hamare sath ride kren toh ye guidelines follow kren:

  • Customer ka personal data sirf delivery ke maqsad ke liye use kren. Aap sirf customer ko unke order ke baare mein contact kar sakte hain, aur wo bhi jab aap un ke liye delivery complete kar rahe hon;
  • Customer ko kabhi bhi delivery ke maqsad ke ilawa contact na kren. Iss ka matlab ye hai ke customer ko kabhi bhi personal reasons, misaal ke taur par Telephone, SMS, email ya social media ke zariye contact na kren, aur customer ka data apne phone par ya kisi aur zariye se kabhi bhi save na kren.
  • Aap age ki pabandi walay items par kabhi bhi customer ki photo ID ko verify karne ke liye uski picture na lein. Customer ki Photo ID par photo ko check karne aur confirm karne ke liye card par photo ko uss customer ke sath match kren jo ID card dikha raha hai. Photo ID ki expiry date bhi check kren ye confirm karne ke liye ke ye ab bhi valid hai. Customer ki date of birth ko Rider app mein enter kren ye confirm karne ke liye ke kya customer ki age 18 saal se upar hai.
  • Kabhi bhi customer ki details ka screenshot na lein ya un ka personal data kisi ke sath bhi share na kren. Customer ka personal data kabhi bhi share na kren, chahe wo email, text ya social media ke zariye ho. Aisa karne se aap customer ki privacy aur Deliveroo ke sath apne contract ke faraiz ki khilaf warzi kren gai, chahe aap unki details ya picture jo aap nai save ki hai uss ko baad mein delete kar dain.

Agar aap customer ke personal data ka ghalat istemal karte hain to kya ho sakta hai ?

Delivery ke ilawa customer ko contact karna ya unki personal details ko save ya share karna Deliveroo ki Policy ki sakht khilaf warzi hai. Aisa karne se aap ka Rider Account terminate ho sakta hai.

Doosray khadshaat aur problems

Agar customer ke order ki details ya delivery notes se aap ko koi pareshani hai, toh jitna jaldi ho sakay Rider Support team ko batain. Please Customer ki details ya in-app chat mein agar koi bhi baat aapki customer se hui hai uska screenshot na lein. Iss ki zarurat iss liye nahi hai kyonki Hamari team customer ki account history dekh sakti hai aur aapki report ko verify kar sakti hai.

Aap ka bahut shukriya In zaruri guidelines ko padhnay aur iss cheez ko yaqini banane ke liye ke customer ka personal data hamesha safe, mehfooz aur private rahe ga . Agar aapke paas koi bhi sawal hain toh neechay Rider Team se rabta karne mein hesitate na kren.

Other topics