Deliveroo UAE Rider Support

Insurance Change topic

Deliveroo insurance mein kya shamil hai?

Deliveroo Rider hone ke taur par aap jab bhi aur jahan bhi Dubai mein order delivery ke liye road par hon gai aap ko humari insurance cover karay gi. Iss mein aap ka online hone ka poora time shamil hai.

Aap ka insurance cover kab tak chalega?

Kaam karte huey sab riders ko cover kare ga.

Agar aap Deliveroo Rider ka kaam chod detay hain toh aap ka cover khud hee khatam ho jaye ga. Aap insurance ko receive karne walay ke taur par Deliveroo aur insurance company ke darmian contract ko cancel karne ka haq nahi rakhte hai kyon ke Ye unke darmian contract ki shart hai.

Find out more about rider accident insurance

Kya kya cover kiya jata hai?

  • Accident mein ho jaane wali death ya permanent mazoori ke liye AED 175,000
  • Jism ke kisi hissay mein ho jaane wali permanent mazoori ke liye AED 175,000
  • Temporary mazoori ke liye pay ka 75% AED 200 per day ziyada se ziyada 30 din tak diya jayega
  • Accident ke medical kharchay ke liye 30,000 AED tak diya jayega
  • Janazay ke kharchay ke liye AED 10,000 tak diya jayega
  • Mot ke baad apne mulk bhejne ke liye AED 20,000 tak diya jaye ga
  • Aap ke personal samaan ke loss ya damage ke liye AED 1,000 diya jaye ga
  • Aap ke jism ke kisi hissay ko jodne ya cosmetic surgery ke liye AED 30,000 tak diya jayega
  • Agar aap coma mein chale jatay hain toh aap ko week ka AED 1,500 tak diya jayega
  • Aap ke bache jo aap par kharchay ke liye depend karta hai uss ki taleem ke liye AED 25,000 diya jayega
  • Agar aap hospital mein admit ho jate hain toh aap ko AED 200 per day ziyada se ziyada 60 din tak diya jayega

Kya kya cover nahi kiya jaata hai?

Agar aap ka accident uss waqt hua hai jab aap offline hain toh Deliveroo insurance kisi bhi nuksaan ko cover nahi kare gi.

Iss insurance ke eligibility ke liye kya cheez zaroori hai?

Iss insurance policy ke andar cover hone ke liye:

  • United Arab Emirates ka resident hona chahiye aur
  • Delivery services dene ke liye aap ka Deliveroo ke sath active Rider account hona zaroori hai;
  • Aap accident ki date pai 70 saal se kam age ke hon (note: Iss Policy mein aapki age limit 70 saal hai ,matlab ye hai ke 70 saal ki age ko pahunchne per aapka cover khatam ho jaye ga.

Other topics