Apni kit ko khane ke liye safe aur fresh rakhne ke liye iss ko regular saaf kren. Isse aapki kit zyada time tak chalegi!
Apne samaan ko regular saaf karna achi baat hai - na ke sirf uss waqt jab food gir jaye. Agar delivery karte waqt khana gir jaye toh ye bahut important hai ke aap apni kit ko bahut achi tarah saaf kren.
Apne samaan ko saaf karte huay woh chemicals use kren jo food ke liye safe hon aur manufacturer ki instructions par amal kren. Hamesha yaad rakhain ki safai karne walay chemicals food aur drinks se dour rakhain aur kit ki safai ke baad apnay haath achi tarah se wash kren.
Orders ko ahtiyat se pack karne aur stack kiye gaye orders ko aik dosray se alag rakhne se aap order ko girnay se bacha sakte hain. Agar order iss tarah se giray ya damage ho ke order ke andar ke items kharab ho jayen toh aap Rider Support ko contact kar ke batayen aur woh iss order ko dobara banane ka intezam kar sakte hain.
Gire hue orders ko manage karna aur kit ko saaf rakhna bahut zaruri hai iss se order mein items ko aik doosray mein mix ho kar kharab hone ke risk se bachaya ja sakta hai. Yeh allergy ka shikar ke liye bahut zaruri hai - ye unki jaan bacha sakta hai.
Safai ki instructions
Jackets ko machine mein wash kar sakte hain - Label par di gai instruction ko follow kren. Machine mein 30 degrees par wash kar ke dry kren.
Agar aapki waterproof jacket sahih se kaam kar rahi hai toh Paani ko nikal jana chahiye. Agar paani Jacket pe hi rah jaata hai aur jacket geeli nazar aati hai toh Nikwax ya Fabsil jayesay reproofing agent ko use kar ke reproof krna chahiye.
Aap apne thermal bags ko geelay kapde se saaf kar sakte hain ya phir woh products use kar ke jo food ke liye safe hon.
Aap apne trousers ko saaf karne ke liye machine mein 15 minutes tak wash kar ke aur taqreeban 60 minutes tak dry kar sakte hain, Issi tarah long sleeves shirt ko machine mein 15 minutes wash kar ke phir taqreeban 30 minutes tak dry kar sakte hain.