Deliveroo UAE Rider Support

Safety Change topic

Mujhe Covid-19 ki symptoms hain, mujhe kya karna chahiye?

The most recent information about COVID-19 can be found here.

Covid-19 ki symptoms mein ye shamil hain:

  • Taiz Bukhar
  • Naya musalsal khansi
  • Aapki smell ya taste mein change ya puri tara gayab ho jana

Agar aap beemar hai ya aap ka Covid test positive ho toh medical mashwaray par amal kren, Log in na kren, apni agency partner ko inform kren.

Aapko road par safe rakhne ke liye kuch guidelines ye hain:

Aap shift start karne se pehle

  • Aap iss baat ko yaqini banain ke aapki Deliveroo kit saaf aur suthri hai. Aage ka plan kar ke iss baat ko yaqini banain ke aap apni kit ko aksar wash kren (Jaisay ke apni chutti walay din wash kren)
  • Wipes aur hand sanitizer istmaal kar ke apne thermal bag (andar se aur bahir se), box aur motorcycle ke handles ko saaf kren aur apni shift ke darmiyan bhi in ko bar bar saaf kren.
  • Online jaane se pehle apne hathon ko sabun aur paani se achchi tarah wash kren aur apne pass hand sanitizer ki bottle rakhain taki aap hathon ko saaf rakh sakain. agar aap ke pass bottle nahi hai toh Please apni agency se request kren.

Apni shift ke doran

  • Apni har delivery ke baad apne hathon ko saabun ya hand sanitizer se wash kren, apne face, nose ya eyes ko touch karne se bachain. Aap order ko pick up karne se pehle sanitizer se saaf kren.
  • Logon se kam se kam aik metre ka fasla rakhain, hath milane se, baday groups mein jaane se bachen chahe aap duty par hon ya break time mein.
  • Food ko hamesha thermal bag mein rakhain taake kum display ho aur food ka temperature maintain rakhain
  • Jaise hi aap apna order pack kren bag ko seal kar dain aur uss waqt tak close rakhain jab tak aap customer ke door pai na pahunch jaayen.
  • App mein diye gaye delivery notes ko hamesha padain, kyunki ho sakta hai ke uss mein restaurant ya building ke sath sath customers se order pick up karne ke liye izafi requirements hon
  • Agar jahan customer ya restaurant hain wahan ki building ki security aapko rokti hai toh unke sath cooperate kren aur Rider chat se usi waqt contact kren. Rider chat ke agent ki hidayaat par amal kren kyunki hum restaurant ya customer ko inform kren gai aur aapko situation ko hal karne mein madad kren gai.

Customer ke khana ko sambhalna:

  • Agar customer ke notes mein food ko unki request ki hui jagah par rakhne ka bataya gaya hai (jaise ke door ke samne ya reception pai), toh aise hi kren aur customer ko call kar ke unko inform kren.
  • Doosray logon se aik metre ka fasla rakhne ke liye customer ke door par pahunch ke door par knock kren ya bell bajaien, thermal bag ko open kren, kuch steps peechay jaayen aur customer ko food lai jaane dain
  • Cash on delivery orders ki soorat mein bills aur notes ko touch karne se pehle please gloves pehnain, hathon ko wash kren ya hand sanitizers use kren. Please cash handling ke baad bhi apne hathon ko wash kren aur hand sanitizer use kren

Agar aapko flu ki symptoms hon (bukhar, khansi, saans lene mein mushkil, sar mein dard, chakkar aana, weakness ka ahsas)

  • Kaam karna rok dain aur app se log out kren
  • Agency ko fori taur par report kren
  • Apni agency se bukhar ke check up ke liye madad ki request kren- ye bahut zaruri hai

Medical enquiries aur madad ke liye aap directly rabta kar sakte hain:

  • 80011111
    Ministry of Health & Prevention
     
    8001717
    Abu Dhabi Healthcare Facilities
     
    800342
    Dubai Health Authority

    80050
    SEHA Vaccine services

Other topics