Deliveroo UAE Rider Support

Orders Change topic

Stacked order kaise deliver kren?

Stacked Orders 2 orders hote hain jo aik hi restaurant se aur 2 alag customers ko deliver kiye jate hain. Aik hi restaurant se aik se zyada order deliver karne ka matlab ye hai ke aap overtime mein ziyada orders deliver kar sakte hain, lss liye aap zyada kaam kar sakte hain aur ziyada kamai hasil kar sakte hain.

Stacked orders normal orders se kaise alag hain?

Stacked Orders ko deliver karna utna hi asaan hai jitna ke aik regular order ko deliver karna. mein faraq ye hain:

1. Jab aap restaurant mein honge wahan aap ko collect karne ke liye 2 IDs nazar aayen gi.

2. Food bags collect kar lene ke baad app aapko pehle customer ka address dai gi. Jab aap pehle customer ko order deliver kar dain gai, phir aapko app par doosray customer ka address nazar ayega.

 

Aksar poochay jaane wale sawal:

1. Kya mujhe alag restaurants se 2 orders milein gai?

Nahin, aap aik hee restaurant se 2 orders collect kren gai aur 2 alag customers ko deliver kren gai.

2. kya mujhe aik hi order ke liye pay kiya jayega?

Nahi, aap ko dono orders ke liye pay kiya jayega.

3. Agar mujhe stack kiye gaye orders ki delivery mein koi mushkil ho to mujhe kya karna chahiye?

Kisi bhi regular order ki tarah customer care team se in-app rider chat option ke zariye contact kar ke madad hasil kren.

4. Agar mujh se customer ko stack kiye gaye order mein ghalat food bag deliver ho jaye toh mujhe kya karna chahiye?

Please ziyada careful hona aur stack kiye gaye order deliver karne se pehle hamesha check kren ke app per diya gaya order number aur customer ke food bag par diya gaya number same hai.

Agar ghalti se aap customer ko ghalat food bag deliver kar detay hain toh foran Customer care team se in-app rider option ke zariye contact kare madad hasil kren.

5. Mujhe ye feature samajh nahin aata. mujhe kya karna chahiye?

Please rider support team ko +971 42485842 (9:30 am se 6:30 pm tak - Monday se Friday tak) par call kren aur woh aap ko batain gai ke ye feature kaise kaam karta hai.

Stack kiye gaye orders ke baray mein aur maloomat lene ke liye, please visit this link.

Other topics